Sudoku : How to Play and Tips in Hindi

Sudoku Kis Tarha Khele: 

Sabse pehle Sudoku game ke bare mein kuchh jan lete hein, 
  • Sudoku 9 x 9 ke grid me khela jata hai.
  • Har Pankti (row) aut Stambh (column) me 9 chhote chhote chok hote he.
  • Iske sath hi 3 x 3 ke chhote chhote 9 chokar (square) grid hote he.
  • Har pankti(row) , stambh(colunm) aur chokar (square) me 1-9 numbers aane chahiye aur koi bhi number repeat nahi hona chahiye.
Ye Sab Sun ne mein thoda sa ulja hua lagta hai , magar niche diye gaye images se aap bakhubi ise samaj jayegneg.

Sudoku Rule No 1 : 1-9 Koi Number Repeat na ho:



Jis Tarha aap upar diye gaye image ko dekh sakte he, Isme jis square par blue circle bana hua hai use dekhiye, isme 9 me se 7 jagahein fill kiye hue he, 2 jagahein baki he. 3 aur 9 number isme nahi he.
 
Ab ham yaha par rows columns ko dekhenge aur decide karenge ke konsi jagah pe konsa number aayega. 






Upar di gayi image me ham dekh sakte he ki , jo blue square hai iski row me already 3 available hai, to iska matlab hai 3 is jagah pe nahi aayega, so 3 dusri jagah left-bottom me aayega.

Sudoku Rule No 2: Row Column Square ko Khatam kare 

Agar Sudoku game me ek row column ya square me 8 numbers aa chuke hein aur ek hi number baki hai iska matlab hai us jagah par ek wohi number jo baki reh gaya hai aayega.

Upar diye gaye example ke mutabik agar ham 3 ko left-bottom me likhte hein to hame kuchh is tarha ka square dikhega



Jis tarha aap upar dekh sakte he ki left square me 8 jagahein bhar chuki he aur ek jagah baki hai , aur number 9 ke alawa baki sab numbers available he. 

To ab is blue jagah me 9 number aayega. aur is tarha ham is square ko khatam karenge.

Upar jis tarha hamne square ka example liya isi tarha row aur column ka bhi example le sakte hein.


Comments

Popular posts from this blog

What is Psychology? || मनोविज्ञान क्या है? || Types of Psychology || मनोविज्ञान के प्रकार

अगर आप परेशान हैं, और आप आत्महत्या करना चाहते हैं, तो इस ब्लॉग को ज़रूर पढ़ें || How to avoid suicidal thoughts in Hindi